Assalam-o-Alaikum…
Namaz Islam ka 2nd rukun hai. Kya hum Namaz parhte hai. Agar
parhte hai tu kya Sharait, Faraiz ya Wajibat ka khayal rakhte hai. Kya hume
pata hai k Namaz ke 6 Sharait, 7 faraiz, 30 Wajibat, 96 Sunnate, 14 Mustahabbat
aur 32, Makroohat-e-tanzeehe hai. Kya hume enn sab ka pata hai. Enn mein se eak
shart, eak Farz, eak Wajib, eak sunnat, aur eak Mustahab ke baat karte hai.
Muslamanoo ke ek ta'adat hai jo Namaz ko etne awaz se nahi
parhte k khud suun le balke etne kaam awaz se k khud na sunn sakee ya dil mein
parhte hai.
Yaad rakhe Namaz mein jo parhna Farz hai uss ko etne awaz se
parhna farz hai k khud apne kaan se suun le esse tarha jo parhna wajib hia uss
ko bhi etne awaz se parhna Wajib hai k khud suun le esse tarha jo parhna sunnat
aur mustahab hai uss ko bhi etne awaz se parhn Sunnat aur Mustahab hai k khud
apne kanoo se sunn le.
Takbee-r-Tehreema yani namaz mein dakheel hone k leye jo
Takbeer lagai jate hai wo shart aur farz dono hai agar etne awaz se na kaha k khud
suun le tu namaz shuru he na hue.
agar Farz ko bhi etne awaz se na parha tu bhi namaz na hue
aur agar wajib ko bhi na parha tu Namaz Wajib-ul-eadaa hogee yani zindagi mein
phir se namaz lootane hogee.
Kya hum ess mein kotahee tu nahi kar rahe. Behter yeh hai k
poore namaz etne awaz se parhe k khud apne kanoo se sunnle. Ess se koi shart,
farz, wajib, sunnat, mustahab Inshallah tark nahi hoga.
Ha agar jaha namaz parh rahe hai waha shor ho raha hai aur
ess waja se awaz na sunn sakee tu wo alag baaat hai.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Faraiz-e-Ebadat (Namaz) (2)
Namaz Islam ka 2nd rukun hai. Kya hum Namaz
parhte hai. Agar parhte hai tu kya Sharait, Faraiz or Wajibat ka khayal rakhte
hai. Kya hume pata hai k Namaz ke 6 Sharait, 7 faraiz, 30 Wajibat, 96 Sunnate,
33 Makroohat-e-tehreema, 14 Mustahabbat aur 32, Makroohat-e-tanzeehe hai. Kya
hume enn sab ka pata hai
Ajj Namaz mein 1 esse harkat ke baat karte hai jes se
humaree ellm mein ezzafa ho aur hum apne namaz ko zaya honee se bacha sakte
hai…
(1)
Namaz ke 1 rukun mein 3 bar khujaane se Namaz faseed ho jaate hai yani
yoo k 1 bar khuja kar hath hata leya phir khujaya phir hata leya yeh 2 bar ho
gaya agar ab esse tarha 3 bar khujaya tu namaz faseed ho jai geee..
Agar 1 bar hath rakh kar chand bar harkat dee tu yeh 1 bar
he khujana kehlai gaaa.
(2) Half Asteen mein Namaz
Makrooh-e-Tanzeehe hai yani shariat ne Napasand kaha hai… agar kurtee ya shirt
ke koi 1 asteen bhi Adhee Kalai se uper char hee hogee tu Namaz
Makrooh-e-Tehreeme hogeee.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Faraiz-e-Ebadat Namaz (Part 3)
Assalam-o-Alaikum…
Namaz Islam ka 2nd rukun hai.
Kya hum Namaz parhte hai. Agar parhte hai tu kya Sharait, Faraiz or Wajibat ka
khayal rakhte hai. Kya hume pata hai k Namaz ke 6 Sharait, 7 faraiz, 30
Wajibat, 96 Sunnate, 33 Makroohat-e-tehreema, 14 Mustahabbat aur 32,
Makroohat-e-tanzeehe hai. Kya hume enn sab ka pata hai.
YAHA PER HUM SIJDE MEIN KE JANE WALE 3
ESSE GALATEEIYOON KA ZEKAR KARTE HAI JES SE HAMARE NAMAZ ZAYA HO JATE HAI YA HO
SAKTE HAI…
( (1) Sijda
7 Hadioo per kya jata hai Sijde mein peshane ka jamna farz hai yani peshanee ko
zameen per sakhte se dabai k mazeed na dabnee pai .
Aksar masajid ya
gharoo mein carpet/qaleen hote hai jen per sijda kya jata hai . yaad rakhe
carpet/qaleen per usse soorat sijda ho sake gaa jab ke peshane ko etne dabaya
jai ke mazeed na dabnee pai warna Farz choot jai gaa aur namaz zaya.
(2) Sijde
mein kuch loog ya tu nose(naak) ke nook lagate hai ya kuch tu nook bhi nahi
lagatee yaad rakhe sijda usse waqt hogaa jab ka nose(naak) ke haddi lage gee.
Sirf nook lagane se kaam nahi chalee gaa. Nose(naak) ko dabane se zameen ke
sakhte mehsoos hogee leken Nose(naak) ke haddi na lagai tu Namaz
Makrooh-e-Tehreeme hogeee.
(3)
Sab
se bare galate jo aksar main ne dekhe hai Sijde mein wo yeh hai k dono paoo ke
finguresko yaa tu zameen se sird touch karte hai aur paoo ke fingures ke nook
zameen per lagate hai aur kuch tu yeh bhi nahi karteee.
Yaad rakhe sijde mein
dono paoo ke 3, 3 fingures ka peet lagana zaroore hai peet lagane se murad yeh
hai k 3, 3 fingures ka moor kar qiblah rukh karna zaroore hai aur yeh wajib hai
aur 5, 5 fingures ka peet lagana yani 5, 5 fingures ka moor kar qibla rukh ho
jana sunnat hai…
Agar 3, 3 fingures ko bhi moor kar
qiblah rukh na kya tu namaz ada nahi hue app per wajibul ada rahe gee zindage
mein jetne bhi esse namaza parhee hai unn sab ka dhoorana zaroore hogaa aur
ainda ess se bachne ke bhar poor khoshees karee.
Namaz farz hai namaz ke tafseele maloomat k leye kese
mustanad aleem ke book ka mutalla kejea…
Allah se dua hai k wo humee esse
namaz parhne ke Taufiq dee jo uss ke bargha mein qabool-maqbool-manzoor ho.
No comments:
Post a Comment