Hadith - Ashura ka Roza (Roman Urdu)
1. Abdullah Bin Abbas Radiallaho Taala anho se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Ne Aashurey ke din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne Wafat Payee.(isliye hum musalamn 9 and 10 dono ka roza rakhte hain)
2. Abdullah Bin Abbas Radiallaho Taala anho se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Madiney Main Tashreef laye to Yahud ko dekha ki Aasurey Ke Din ka Roza Rakhte hain aur Logo ne un se pucha ki Kyon rakte hain to unhoney kaha ki ye wo din hai Jab Alah taala ne Musa Alaihey Salam aur Banee Israeel ko firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj hum Rojedar hain,Iski Taazaim ke Liye ,To Nabee Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya hum tum se jyada dost hain aur Kareeb hain Musa Alaihey Salam ke,Phir Huqm Diya Aap Sallallaho alaihey wasallam Ne is (10 muharram) Roje ka.
3. Abu Hurairah Radiallaho Taala anho se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallaho alaihey wasallam Ne farmaya Afzal Sab rozo main Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai
4. Abu Qatada al-Ansari radi allaho anho se rivata hai ki Nabee sallallaho alaihey wasallam se Asura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Nabee sallallaho alaihey wasallam ne faramaya ye agle aane wale saal ke gunahon ka kaffara hai
Sahih Muslim, The Book of Fasting (Kitab Al-Sawm) Rozey Ke Masayeel
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Rasule Khuda (SAWW)
Ek shakhs ka apni zindagi mein ek chandi ka sikka khairat mein dena maut ke waqt 100 sikke dene se behtar hai.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
JUMMY KA KHUTBA
Maaz Bin Anas Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai
K Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya:
Jumma Ke Din Jab Imam Khutba De Raha Ho To
Ghutno Ko Pet Ke Saath Mila Ker Baithney Se Mana’ Fermaya
(Abu Dawood, Kitabul Salaat, H #1110/
Termizi, Kitabul Salaat, H #514) (Juma ka khutba)
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
(AZAN KI FZELAT)
“Agr tum Quran pak ki tilawt kr rahy ho aur azan ki awaz ay to Quran pak ko band kr k
Azan suno, aur us k kalmat ka jawab do.”Zara sochye azan sun-na Quran pak ki tilawat se aham ha. Aur ham log aj kal azan k waqat baton aur gali gloch se b nai baz aty.
IS msg ko itna phelao k sari umat jaag uthay aur azaan ka ehtram karnay lagay.Iska ajar mujhay aur ap ko tab tak milta rahay ga jab tak yeh msg chalta rahay ga.JAZAK ALLAH .
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hadees mubarak me irshad he “Us shaks sy Maafi mango.
Hadees mubarak me irshad he
“Us shaks sy Maafi mango.
jiski ghibat ki ho or ye 1 aisa gunah hai jiski wajah sy log kat kat kar jahanum me phenky jaengy”
Plz mujy maf kar dena ho sakta hai meney kabi ap ki koi ghibat ki ho.
meny b apko maaf kiya
OR
“ALLAH”
b humain maaf farmay.
Aameen.
No comments:
Post a Comment